Crypto me kar sakte hai invest, RBI ne kiya yelan - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Tuesday, June 1, 2021

Crypto me kar sakte hai invest, RBI ne kiya yelan

Bitecoin par aayi RBI ki badi khabar, to kya ab kar sakte hai crypto me len den?

 


Dosto aap me se jo log bhi crypto me trade karte hai unko pata hai ki crypto market me len den karna yani deposit aur withdraw karna kitna pareshan kar deta hai. Aur iska jimmedar RBI aur banks hai jinhone abhi tak na jane crypto exchange kitni rukaawate dali hai. Par ab yesa lag raha hai jaise ki RBI Crypto currency par ab apna jor nahi aajmayega. Aur ab crypto exchangers aaram se crypto me len den kar sakte hai.

RBI ko crypto se kya hai pareshani ?


Dosto RBI yani (Reserve Bank of India) ye chahta hai ki log apne paise bank me hi rahne de aur kahi idhar udhar unn paiso ko na lagaye jisse paisa desh me hi rahega aur hamare GDP le liye jyada achha hoga par unko Crypto se pareshani isliye hai kyonki yeh ek open source platform hai jaha koi bhi crypto coin bana sakta hai aur usse launch bhi kar sakta hai sath hi isme kiye hue transaction bhi kisi desh ke sarkar ke paas nahi hoga kyonki ye blockchain par based karke banaya gaya hai. Halanki ise ab tak ka sabse Surakshit digital coin bhi mana gaya hai bawjud iske RBI iske khilaf tha. Usne 2018 me yeh circular banaya ki koi bhi bank crypto me len den na kare.

Supreme court ka kya hai yogdan ?


Inn sabhi ke beech kuchh crypto exchangers supreme court gaye aur unhone RBI ke Crypto me len den na karne wali circular ko hatane ki maang karne lage. Supreme court ne march 2020 me yeh saaf kar diya ki koi bhi apne paise ko jaha chahe waha invest kar sakta hai. Yani chahe to wo stock market me apna paisa invest kare ya fir crypto me yeh unki marzi hai. Iss tarah crypto par RBI ka lagay hua rule uske baad kisi kaam ka nahi raha.

To fir ab tak problem kya tha ?


Supreme court ke faisale ke baad RBI ne bhi ek aur circular jari karke bataya ki ab unka 2018 wala crypto par ban jay gya hai kyonki supreme court ne usme trade karne ki izazat de di hai. Par iske bawjud bhi banks aur digital payment upi system apna API crypto exchange company ko nahi de rahi thi. Unka kahana tha RBI ne isme len den karne ko ban kiya hai isliye hum kuchh nahi kar sakte warna hamara license cancel ho jayega. Par inn sabhi ke bawjud bhi kuchh bank apna API system share kiye jiske wajah se abhi tak crypto me kuchh had tak len den jari hai.

Ab RBI ne crypto par kya kaha ?


RBI ne apne Twitter handle par kal ek post upload karte hue usme bataya ki hame pata chala hai ki banks Crypto me invest par rok laga rahi hai RBI ka bahana dete hue par hum yeh saaf kar dena chahte hai ki supreme court ne yesa kuchh nahi kaha hai isliye uspar koi bandish nahi hai jo bank chahata hai wo apne grahak ko crypto me len den kara sakta hai yeh puri tarah banks aur unke decision par nirbhar karta hai.

Dosto aapko hamara yeh post kaisa laga hame comments me bataye aur updates ko jaldi pane ke liye hamare telegram group ko join kare. Earnings related posts ke liye hamare baki posts ko jarur padhe.

No comments:

Post a Comment