Amazon prime membership le aadhe price me !
Dosto aapka swagat hai hamare ek aur naye post me Aaj hum ek yese website offer aapke liye lekar aaye hai jisse lagbhag har koi online shopping karta hai aur yeh website duniya ki no.1 shopping site hai sath hi iss site pe logo ka bharosa bhi bahut jyada hai ji ha hum Amazon site ke bare me baat kar rahe hai jaha aap aur hum sab online shopping karte hai aur ghar baithe saman mangate hai.
Amazon prime kya hai ?
Dosto jaisa ki aap jante hai ki hum Amazon site se lagbhag har saman order karte hai aur aur Kai bar yesa hota hai ki hame koi product jaldi chahiye hota hai par uski delevery date bahut late hoti hai aur jab bhi shopping karte hai to 500 rupees se Kam Wale product ke liye hame delevery charge Dena hota hai. Amazon prime membership aapke aur hamare isi problem ko dur karta hai Amazon prime membership me aapko same day delivery, one day delivery, two day delivery aur aapne Marzi anusar delevery date chunne ki azadi hoti hai aur sath hi aapko lagbhag har product par se delevery charge Dene ki jhanjhat dur ho jati hai. Amazon prime membership me aapko delevery aur delivery charges se chhutkara nahi balki sath hi aapko Amazon prime video aur prime music ka bhi subscription sath me hi milta hai. Aur ye sab aapko ek hi subscription ke bundle me mil jayega. Aur ye sab aapko sirf yearly 1499rs me mil jata hai jisme ab aap 50% paise wapas paa sakte hai.
Prime membership ke liye click kare
Amazon prime video kya hai aur iske kya fayde hai ?
Amazon prime video ek ott platform hai jo jo Amazon prime membership ke sath aapko additional me milta hai jaha aap movies ( Hollywood, Bollywood, Kollywood) aur webseries hindi, Tamil, telgu jaise bhasha me dekh sakte hai sath hi Amazon prime video apne khud ke orginal content bhi Lata hai Jo sirf aapko Amazon prime video pe hi dekhne ko milegi. Agar aasan bhasha me kaha Jaye to aap apna entertainment Amazon prime video ke sath kar sakte hai jaha aapko har roj naye webseries aur movies dekhne ko mil jayege apni language me.
Amazon prime music kya hai aur iske kya fayde hai ?
Amazon prime music ek music streaming aur downloading app jaha jaha aap Spotify, ganaa app ke jaise gaane sun aur download kar sakte hai. Aur yaha aapko 100 million se jyada gaane sunne ke liye mil jayega jaha aapko Hindi,Tamil, Telugu, kannad jaise language me gaane sun sakte hai. Aur yeh bhi aapko Amazon prime membership ke sath bilkul free milega iske baad aapko dusre music streaming platform ke subscription nahi lene padenge.
750rs ke prime membership ke additional benefits kitna hai ?
Dosto jaisa ki hamne aapko bataya ki aapko Amazon prime membership ke sath Amazon prime video aur prime music ka additional benefits milta hai jiske liye aapko alag se koi paise nahi Dene padte iske wajah se aapko kisi aur ott platform jaise hoststar aur Netflix ke subscription nahi lene padenge jiske wajah se aapko saal ke 1500rs ka to Aram se fayda mil jayega sath hi aapko kisi music streaming platform ka bhi subscription nahi Lena padega jiske wajah se aap lagbhag 1000 rs isme bacha sakte hai yani aap saal ke 2500 rs apna bacha sakte hai Amazon prime membership ke wajah se aur shopping to aapko same day delivery ka bhi mil jayega.
1499 ka Amazon prime membership 50% me kaise milega?
Dosto jaisa ki humne aapko bataya ki aap Amazon prime membership kyu lena chahiye aur isse aapko kya fayda hoga aur kitna fayda hoga. To chaliye ab jante hai ki hum Amazon prime membership ka 1499 wala annual plan 750rs me kaise le. Dosto Amazon prime membership ka ek offer hai jise youth membership kaha jata hai jisme aapko Amazon prime membership 1499 ka annual ya 299 ka monthly plan lena hoga aur payment karna hoga uske baad aapko aapke Amazon wallet me 50% amount return mil jayega.
Kaise fayda le Amazon youth program ka ?
Iske liye kuch rule hai jisko aapko follow karna hoga jaise ki aapki age 18 - 24 hone chahiye aur aapke paas iska proof jaise college ki I'd card aur adhar card hona chahiye jaise hi aap prime lene jayenge aapko do option milega jisme ek normal plan hoga aur ek youth program hoga aap monthly ya yearly wala plan apne hisab se select kare aur youth program wala option se pay karr aapko aapke plan ke hisab se payment cut ho jayega aur uske baad aapko message aur gmail se ek link bheja jayega jaha aapko ja kar apna age verification karwana hoga uske liye aapke paas ek hafte ka time hoga uske baad wo link valid nahi rahega aur dariye mat ye Amazon official ke taraf se hi aapko message aayega.
Agar 24 se jyada ya 18 se Kam ho to kya kare ?
Dosto agar aapka age iss criteria me nahi aa raha to aapko pura payment karke hi Amazon prime membership Lena hoga ya fir aap apne kisi dost ya chhote bade bhai behan ke naam par account open kar sakte hai.
No comments:
Post a Comment