Crypto investment ke liye sabse trusted apps
Dosto hamare crypto currency ke post par aap logo ne bahut pyar Diya hai isliye Aaj hum aapke liye crypto me investment karne ke liye best apps konsi hai ye batane wale hai. Agar aap bhi crypto me investment karte hai ya karne wale hai to iss post ko pura padhe aur agar aap crypto currency ke bare me janna chahte hai to hamare purane post ko padh ke iske bare me jaan sakte hai.
Crypto investment ke liye best apps ka matalab?
Crypto investment ke liye best apps ka matlab hai wo apps jaha agar aap crypto me investment kare to server sahi se kaam kare taki agar market me inflation ho to aap kharid ya bech kar sake. Dusra uss app me jyada se jyada crypto currency ho taki aap bahut se coins me investment karke apna portfolio diversify kar sake. Tisra uss app me crypto graph achha ho jisse ki agar aap kisi coin ko track karna chahe to usse uss app me bade Aram se kar paye.
To konse apps hai crypto ke liye best ?
U to bahut se apps playstore me hai jaha aap crypto me investment kar sakte hai par inn apps me kuchh sahi se kaam nahi karte to kuchh to puri tarah se fraud hai aur jinn apps ke aap YouTube,tv ya social media me add dekhte hai wo aapse crypto buying aur selling par jyada charge karte hai. Isliye aap wese apps ko bhi use na kare . To inke alawa aur bachta kya hai? Yesa nahi hai ki jo ads dikhate hai unko agar aap install na kare to aapke paas ab koi option bacha hi na ho. Hum aapko Jin apps ke bare me bata rahe hai wo hai wazirx and binance. Ye do apps crypto investment ke liye sabse best apps hai.
Yehi do apps kyu kya koi aur app achha nahi hai?.
Nahi dosto yesi baat nahi hai. Crypto market bahut hi jyada bada hai aur usme investment karne ke liye bahut sare apps hai yesa nahi hai ki ye do apps hi sabse best hai aur koi apps kisi kaam ke nahi. Sare apps achhe ho skate hai par hamne abi tak jitne apps bhi use kiye hai usme ye dono apps hame jyada pasand aaye jaise ki coindcx ( isme buying aur selling charges high hai) , coinswitch cubber ( iss app me sabse jyada charges lagte hai aur sath hi isme bahut hi kam coins hai investment karne ke liye.)
Iss tarah Kai apps hamne dekha aur yeh jana ki binance aur wazirx hi hai jo purane aur trusted bhi hai sath hi kam charges leti hai aur yaha par aapko lagbhag sabhi coins mil jayega jiske karan aap apna portfolio diversify rakh sakte hai.
Disclaimer
Dosto hamne apne anubhav ke mutabik aapko ye apps suggest Kiya hai ho sakta hai kai log hamare opinion ko galat kahe aur isme koi burai bhi nahi hai. Aapko agar inn apps par trust nahi ya aap kahi aur trade karte hai to yeh puri tarah aapke uper hi nirbhar karta hai. Hamara kaam tha jankari Dena usko kare ya na kare yeh puri tarah aap par dipend karta hai.
No comments:
Post a Comment