Shopping, recharge aur food delivery se paise bachaye . Students ke liye sunehra moka ! - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Friday, September 2, 2022

Shopping, recharge aur food delivery se paise bachaye . Students ke liye sunehra moka !

 Top 3 apps jisse aap bacha sakte hai apne paise !

Hamesha ki tarah aaj bhi hum aapke liye kuchh yese apps laye Hain jisse aap apna savings kar sakte hain. Inn apps se aap jyada to nahi par thodi bahut savings kar sakte hai. Iss list me hum aapko yese apps ke bare me batane wale hai jinse aap shopping, recharge aur food delivery par paise bacha sakte hai. To aayiye jante un apps ke bare me. 

1. Shopsy



Shopsy app ke bare me aap me se bahut log jante honge ya iska use karte honge. Par aapko shayad ye baat pata nahi hogi ki shopsy Flipkart ke hi under me aati hai aap wo sab saman shopsy me kharid sakte hai jo Flipkart me available hai. Par isme khaas baat yeh hai ki jab bhi aap kuchh shopsy se kharidte hai to aapko usme se kuchh amount cashback mil jata hai. Aur kai bar to yesa bhi hota hai ki jo product aapko Flipkart me jyada show kar raha hai wo aapko shopsy app par kam daam me mil jayega aur sath hi cashback bhi milega jisko apne bank account me transfer kar sakte hai.  Bank me transfer karne ke liye aapke paas minimum amount 100rs hona chahiye. Agar aapke account me 100 rs hai to aap shopsy app me apna bank account details fill karke paise le sakte hai. Shopsy app ko agar aap apne friend ko refer karte hai to aapke friend ke first purchase pe aap dono ko 150rs ka cashback milega.

Shopsy app download kare


2. Magicpin



Magicpin app aap apne food delivery ke liye use kar sakte hai. Isme aapko hamesha aapke order par minimum 30% aur maximum 70% tak ka discount mil jayega. Aur apne first order par 90% discount le sakte hai. Par iske alawa aap isme bahut se brand jaise (Amazon, Flipkart,Myntra,mamaearth) ka voucher bhi kharid kar paise save kar sakte hai. Yaha aapko har voucher pe kamse kam 5 se 10% ka discount milta hai. Agli bar jab aap online koi product buy kare to voucher yaha se buy kar le fir uss product ko buy kare iss tarah aap apne shopping aur food dono par discount paa sakte hai.

Magicpin app download kare


3. Jio poslite



Jio poslite unn logo ke jyada kaam aa sakti hai jo log jio sim ka use karte hai. Isme aapko account banana hoga fir pahli baar me apne wallet me 1000rs ka recharge karna hoga uspe aapko 40rs extra milega isse aap apna ya apne friends aur family me jo bhi jio sim rakhe hai unka recharge kar sakte hai. Jio ka minimum recharge 250rs hai yani agar aap 4 logo ka bhi recharge karte hai to aap 40rs extra earn kar sakte hai. 
Iska matlab har recharge pe 10rs commission. Aur jaisa ki aap sab ko pata hai aaj kal jyadatar logo ke paas jio sim hai to iss tarike se aap achhe khase paise bacha sakte hai. 


Dosto hame pata hai ki aap inn apps se jyada paise kama sakte hai par inn tariko ka aap sahi se istemaal kare to aap phone ka Aram se 3000 se 5000 kama sakte hai. Aur iske istemaal se aap chhote investment kar sakte hai ya recharge bhi kar sakte hai. Agar aap abhi student hai to aap inn tariko se paise kama sakte hai aur apni pocket kharch ke liye khud se paise kama sakte hai.

No comments:

Post a Comment