Internet se paise kamane ka asan tarika - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Wednesday, June 2, 2021

Internet se paise kamane ka asan tarika

 

 Online se paise kamane ka geniune tarika part-1.


Dosto aaj ka hamara post kuchh jyada hi special hone wala hai unn logo ke liye jo online se paise kamana chahate hai par har bar unko koi na koi problems aa hi jati hai jaise ki kabhi wo kisi froud app ya website me pad ke apna nuksan karwate hai to kabhi kahi fake post par bataye tarike ko use karke pachtate hai. Kai bar to ye kamane ke liye invest bhi karne ko taiyar ho jate hai par uska bhi koi fayda nahi hota hai aur inko scamers scam karke paise thak lete hai. Kai logo ko to yesa bhi lag raha hoga ki online sirf ek dikhawa hai usse jyada kuchh nahi isme koi paisa wesa nahi milta hai ulta hum hi lut jate hai. To yese logo ko me ye bata du ki yesa kuchh nahi hai. Ha mana ki scamers aur knowledge ki kami ke wajah se kai logo ka nuksan ho jata hai. Par ye sab isliye hota hai kyonki aapke ya hamare paas uss field ki sahi aur puri jankari nahi hoti hai. To online me paise kamata ja sakta hai to kaise aur kya hai uska genuine tarika ?. Him aaj unme se hi kuchh tariko ke bare me batane wale.

Konse tarike hai genuine?

* Blogging
*YouTube
*Affiliate marketing
*Freelancer
*Stock market
*Crypto currency
* Website creation etc

1. Blogging


Blogging ke bare me har koi janta hoga aksar youtube me aap blog aur usse website bana kar paise kamane ka video dekhen honge. Par iske baad bhi kyu me iske bare me bata raha hu. Kyonki humne kaha tha ki har genuine tarikon ke bare me batayenge jisse aap achhi khasi kamai kar sakte hai aur blogging bhi usme se ek hai. Aapko sirf blogger me apna website banakar post nahi likhna hai. Aapko iske alawa bhi seo,post indexing, website indexing,Google concol aur Google analytics me apna website submit karna hota hai. Sath hi apne beech ke according post aur usse apne sahi targeted audience tak pahuchana hota hai. Inn sabhi ke baad bhi aapko apne site me about, privacy policy,terms and conditions jaise pages ko add karke usse users ko dikhane jaisa rakhna padta hai. Iske baad hi aap adsence ke liye apply kar sakte hai. Aur agar iske baad bhi aapko adsence ka approval na mile to aap affiliate marketing karke paise kama sakte hai jiske bare me aapko hum aage batayenge.

Kaise website banaye aur kaha ?


Agar aap professional website banana chahte hai to aapke liye wordpress ya kisi aur platform se chep price me webhost aur domain kharid kar apna kaam karna chahiye agar aap sikhna chahate hai to Google ka blogger aapke liye ek achha option hoga.aap inn category me se kisi ek ko choose kar sakte hai jisse aapko adsence approval ka chance badh jayega.
*Forum sites
*Web tool sites
*Service type sites

* Forum sites

 

Forum sites ka matlab hota hai jisme aap logo ki help to karte ho par une queries ko jankar jaise ki quara website ye category high Language developers ke liye hai yada bol sakte hai.

*Web tool sites


Iss category me yese sites aate hai. Jo aapke aur hamare kaam ko easy kar de jaise ki youtube video downloader sites. Par inmen adsence asani se milne ka chance jitna jyada utna hi ban hone ka bhi kyonki yese website jyadatar wo log karte hai jinke paas content ki kami nahi hoti hai aur apne content ko sabhi ko dena chahate hai free ya paid.

Service type sites


Iss category me me lagbhag har tarah ke websites aapte hai jaise ki blog, technology, news etc. Yese website ki bhi chance badh jati hai adsence milne ka.

Website me ad kaise lagaye ?


Ab website banakar sabhi kaam karne ke baad usse ek baar check karle aur fir apne blog ke earnings section par click karke aap adsence ke liye apply kar sakte hai. 

Ad lagane ke liye site ki qualification kya honi chahiye?

Isme aapko koi jyada badi qualification ki jarurat nahi hai bas aapke blog par kamse kam 10 post hone chahiye aap agar domain name use karte ho to wo 1 mahine purana hona chahiye. Iske alawa aapko koi qualication ki jarurat nahi hai.

Kitna earning ho sakta hai ?


Hum aapko lakho ya karodon ka aakda nahi batane wale hai kyounki ye sab aapke mehnat aur aapke website ki reach par depend karte hai. Par agar aap ek average blogger ki earning 200 se 250$  tak maan sakte hai.

2. YouTube 


YouTube ke bare me bhi aapko jyada batane ki jarurat nahi aapko iske bare me me bhi bahut kuchh pata hoga. Jaise ki YouTube me kaise channel create karne hai, video kaise banaye,kaise upload kare,kaise monitize karke paise kaise kamaye etc.

Kaise channels banane chahiye ?


Aap youtube me apne hisab se koi bhi category ka channel bana sakte ho aapko adsence me koi problem nahi aayegi. Par iss baat ka dhyan rakhe ki aap jis bhi category ko choose kare uske bare me aapko achhi knowledge ho warna kuchh video dalne ke baad aap ko na content milega aur na hi aap video banane ke liye motivate rah paoge. Aur yeh bhi yaad rakhiye ki aap kisi ka bhi content copy paste ya edit karke na dale chahe wo thada sa bhi kyu na ho. 

YouTube videos ko kaise viral kare ?

Videos ko viral karne ke kuchh asan tricks hai hai ki aap jis category me hai usme kya tending chal raha hai uska pata lagaye aur uske baad uske bare me video banaye,seo kare, description add kare,title achhi tarah se de.

Monitization kaise kare ?


Ab sab kuchh karne ke baad aapke channel ne add lagana hai jiske liye aapko adsence me apply karna hoga. Monitization ke liye apke channel me kuchh qualification honi chahiye. Agar aap ka monitization kisi wajah se approved nahi ho raha hai to aap aur bhi tarikon se kama sakte hai jaise ki affiliate marketing jiske bare me aapko hum agle post me batayenge.

Kya hai requirements ?

Aapke channel ko monitize karne ke liye aapke youtube channel par ye sab hona jaruri hai.
* 1000 subscribers hone chahiye.
* 4000 ghante ka watch time hona chahiye.

Kitna earning kar sakte hai youtube se ?


Iss sawal ka jawab bhi hum aapko accurate nahi bata sakte hai kyonki ye bhi aapke subscribe, channel aur adsence cpc etc par depend karta hai. Ek average youtuber mahine ka 30 se 40 hazar kamata hai. Aap isse jyada bhi kama sakte hai isaka koi limit nahi hai. 

Dosto aaj ke iss post me hamne aapko geniune earnings ke 2 tariko ke bare me hi bataya hai baki post lamba na ho jaye isaka wajah se hum baki ke tariko ke bare me aapko agle post me batayenge. Agar aap technology aur earning se related post aur idea chahate hai to hamare telegram ko bhi join jarur kijiyega.

1 comment: