Movies site free me kaise banaye bolg me - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Saturday, June 5, 2021

Movies site free me kaise banaye bolg me

How to create movies site with blogger and earn 50.000 per month in hindi

Hello dosto kaise hai aap ?. Ummed hai ki achhe hi honge aur apna khyal rakh rahe honge. Dosto aap me se kai log bahut tarah ke websites banate honge jaise ki news,tech, blogging etc. Aur aap me se kai logo ne ye dekh hoga ki log movie site banakar lakho kamate hai wo bhi kam se kam time me. Par kya aap wese sites bana sakte hai ya nahi? Agar ha to kitne rupees kharch honge kitna time lagega?, Kya ye safe hoga?,kitna earning kar sakte hai isse?, Blogger site me kaise movie site banaye?, Kya hai advantages aur disadvantages?, Earning kaise hogi movies site se? Etc. Jaise sawal ka jawab dene wale hai ye ek post pura padhne ke baad aapke man me isse related koi bhi doubt nahi bachega kyounki hum 10 post banakar samjhane ke bajay aapke liye sara information ek hi post me dene ki koshish karenge.

Movie sites kaise bante hai ?


Aap sab ko ye to pata hoga hi ki movie aap upload nahi kar sakte hai kyonki wo copyright content ke list me aata hai agar aap kahi bhi koi bhi movies ko upload karne ki sochte ho ya usse upload karte ho to aapka wo particular account jaise youtube,koi website ya other social media platforms par aapka video delete ho jata hai kai casses me to aapka account bhi delete ho jata hai. Kyonki aapke paas uss content ka rights nahi hota. To aapke man me ye sawal jarur aa raha hoga ki to fir jab itne sare movie sites hai wo kaise kaam karte hai?. Dosto wo log apna ek alag se web host kharidte hai jisme anti DMCA (Digital millenium copyright act) proof ke sath aata hai. Ye aapke website par DMCA ke dwara bheje gaye sabhi mail ko aane hi nahi deta aur aur aapke website ko takedown hone se bachata hai. Yese web host bahut hi mange hote hai yesa ho sakta hai ki kisi website par aapko offers me anti DMCA webhost free me mil jaye. Agar aap bhi ek anti DMCA webhost le lete hai to aap bhi movie website bana sakte hai.

Blogger me kaise banaye movie sites ?


Dosto jaisa ki hamne aapko abhi bataya ki movie website ko banane ke liye aapko anti DMCA webhost lena hota hai magar aap ek movie downloading website bana kar earn karna chahate hai par aapke paas utne paise nahi hai kharch karne ko to yese me kya kare. To dosto aap aap free me ek blog banaye aur uspar movie templates lagakar use ek movie website me convert kar de aur uske sath ek domain name bhi kharid le. Aur uss par post ke jariye movie upload kare.

Blogger par DMAC notice nahi aayega ?


Nahi dosto blog Google ke under aata hai aur aapko pata hoga ki Google apne policy ke liye jana jata hai. Aapko DMCA notice aayega par aapke pure site par ye notice nahi aati hai ye sirf particular post par aayegi agar yesa hota hai to aap ap uss post ko re-edit karke post karde ya delete karde. Isse aapka kaam ban jayega.

Movie site banana safe hai ya nahi ?

Dosto hum aapko saaf saaf bata dete hai movie downloading website piracy ko badhawa deta hai aur ye illegall hai. Iske wajah se aap ke upar case bhi ho sakta hai. Hum aapko blog se banane ka idea isliye de rahe hai kyonki bahut se logo ko lagata hai ki isse wo jyada paise kama sakte hai aur ye sach bhi hai kyonki internet par movie downloading website ka traffic bahut hota hai aur jitna jyada traffic utni earning. Aur jyada paiso ke chakar me bahut se log aadha adhura knowledge lekar webhost me paise laga dete hai aur baad me pachtate hai. Par agar aap hamare idea jaise site banayenge to aap free me bana bhi sakte hai aur agar kisi wajah se aapka website takedown ho jata hai to aapko kisi loss ka dukh bhi nahi hoga.

Isme adsense ad kaise lagaye ?


Dosto yesi galti kabhi mat karna. AdSense ka ad movie site par kabi nahi milega agar aap kisi tarah jugad lagakar le bhi lete hai to usse kamai ki ummid na rakhe kyonki wo kabi bhi band ho sakta hai.

Linkshortner sites


Ab aap soch rahe honge ki jab adsense approval milega hi nahi to kya fayda inn site me kaam karke kaise hogi earning inse ?. To aapko bata de ki yesa nahi hai adsense ke alawa bhi yese bahut se tarike hai jisse aap movie sites se paise kama sakte ho unme se ek hai linkshortner sites. Linkshortner sites kya hai aur unke konsa achha hai jo jyada paise deta hai inn sabhi topic par humne already post likha hai aap chahe to usse jakar padh sakte hai. Aur linkshortner sites me account banane ke liye click kare.click kare.

Pdisk upload


Dusra tarika hai apne movies ko kisi ppd (pay per download) sites par upload kare jab bhi uss link se koi movie download karega aapko earning hogi. Ispar ham ek jald hi ek detail post lagayenge. Tab tak aap pdisk par files upload karke paise kama sakte hai. Pdisk.net ke bare me bhi hamne pahle se hi ek post me bataya hai. Aur jyada janne ke liye hamara wo post padhe  Account banane ke liye click kareclick kare.

Dosto hamne iss post me jitna ho sakte utna movie downloading site ke bare me jankari dene ki koshish ki hai. Aur jama kisi bhi tarah se aapko ise banane ko nahi kah rahe hai. Ye post sirf knowledge ke liye banaya gaya hai. Agar aapko hamara yeh post pasand aaya hai to hame comments me bataye aur aapko kisi topic par detail me janna chahte hai to uske bare me bhi hame comments ya hamare telegram me bataye.

Tags- how to earn online in Hindi, online se paise Kaise kamaye, free mein downloading website Kaise banaen,movie website Kaise banaen, how to create movie website in Hind,i online earning, technosy5, what is pdisk.net in Hindi, how to earn with movie website in Hindi, how to create website in blogger in Hindi, blogger mein movie website Kaise banaen, movie website se paise Kaise kamae,

No comments:

Post a Comment