technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Thursday, March 7, 2024

March 07, 2024

3 in 1 solar camping lamp

 Aaj ka best product 3 in 1 solar camping lamp

Kya hai ye 3 in 1 solar camping lamp?



3 in 1 solar camping lamp ek lamp hai jo andhere me aapke bahut kaam ka sakti hai sath hi isme fan bhi laga hua hai jisse aap ise ek portable fan ki tarah bhi use kar sakte hai. Ye dekhne me stylish ke sath sath achhe build quality ke sath aapko milta hai isme aapko badi battery mil jati h jisse aap ise bade Aram se lambe samay tak use kar sakte hai.

Solar se kitne der me charge hota hai ?



Iss lamp ko aap charging cable se charge kar sakte hai par isme aapko ek aur option solar ka bhi mil jata hai jisse aap iss lamp ko Suraj ki roshni me bhi charge kar sakte hai aur yeh lagbhag 2 se 3 ghante me solar se charge ho jayega.

Key features:



1. Normal charger se charge kar sakte hai aur solar se bhi charge kar sakte hai.
2. Isse aap lamp, torch dono ki tarah use kar sakte hai.
3. Isme aapko ek portable fan bhi mil jata hai jisse aap hawa khane ke liye bhi iska istemal kar sakte hai.
4. Ye product iss price segment me aapko dusra nahi milega.
5. Iski build quality bhi achhi hai.
6. Ye 3 in 1 lamp aapko aur bhi colours me mil jayega.
7. Iske lights ke brightness ko aap apne hisab se adjust kar sakte hai.

Kaise le iss product ko ?

Iss product ko kharidne ke liye aap neeche buy now ke option par click kare aur buy karle.

              Buy now 👈

Iss tarah ke products aur shopping offers ke liye join kare https://telegram.me/cheapdeal4

Iss product ke demo video dekhne ke liye iss link par click kare Demo video

Yesi aur mazedar product ke suggestions ke liye hamare sath Jude rahe aur iss product par apna opinion hame comments me bataye.

Tuesday, February 27, 2024

February 27, 2024

Telegram ka ye secret aapke hosh uda degi .

 Yese Kamal ke secret Telegram channels jo aapke bhaut kaam aaye !

Hello friends Aaj hum aapko telegram ke kuchh yese channels ke bare me batane Wale hai jiska use karke aap apne Kai sare kaam ko asan kar sakte hai aur kuchh yese bhi bot ka jikar karenge jisse aap paise bhi kama sakte ho. 

1. Cheapdeal4u

Yes telegram channel shopping lover ke bahut kaam ki hai jo online shopping karte hai par kayi bar yesa hota hai ki aap koi product buy karte hai par baad me pata chalta hai ki wo product ka price Kam ho Gaya ye aapne usse product ke liye jyada pay kar Diya usi product ko dusre online website se kharidate to aap apne paise bacha sakte the yese me pachtane se kuchh nahi hota mere dost isliye aapko iss channel ko join kar lena chahiye yaha aapko har category ke products aur har online website ke products mil jayega jaise hi koi deal aata hai to iss channel pe upload ho jata hai isse aap price compare karne ki bhi jarurat nahi padegi aur aap saste me product bhi buy kar sakte hai. Isliye iss channel ko join kar le aur notification on rahne de.https://telegram.me/cheapdeal4

2. Movie search adda

Dosto jaisa ki apko channel ke naam se hi pata chal Gaya hoga ki ye group kis kaam aa sakta hai aapke yaha aap join hone ke baad duniya ke kisi bhi movies series anime ko bas search karke single click me dekh ya save kar sakte hai yaha aap jabi koi movie series ya anime ka naam search karenge to aapko ek hot telegram ke sabhi channel jispe apka search Kiya hua content rahega wo aaram se mil jayega aur aapko koi link shortener jaisi website ka jhanjhat bhi nahi rahega. Yaha aap entertainment ke alawa books aur pdf bhi search kar sakte hai jisse aapka bahut time aur energy dono bachega

3. Recharge Karo bot

Ye hamare Aaj ki list ki aakhri bot hai jo aap sabhi ke kaam ki hai kyunki iss bot se aap mobile recharge, d2h recharge, Google redeem code aur online shopping gift card kharid skte hai. 

Par isme humara kya fayda?

Fayda hai dosto jaha aap recharge karte ho aur aapko Kai bar kuchh milta hai aur jyadatar bar kuchh nahi milta ulta aapko khud gpay,phonpe jaisi apps ko extra paise alag se Dene padte hai wahi agar aap iss bot se recharge ya kuchh bhi karte ho to aapko har transaction par ek fix commission milega.

Kitna commission milega ?

Dosto commission time to time change hote rahta hai isliye hum aapko fix to nahi bata sakte par commission janne ke liye aap commission structure par click karke check kar sakte hai.

Iss bot se kitna kama sakte hai ?

Dosto yu to iss bot se kamane ka koi limit nahi hai aap jitna chahe recharge, Google redeem code aur gift card buy kr skte hai aapko aapke har transaction par commission milega.

Bonus point.

Dosto waise to aap har transaction par iss app se paise kama sakte ho pata agar aap iss bot se gift card khardoge to aap sabse jyada kama sakte ho kyunki ye bot aapko gift card pe upto 15% tk ka cashback deti h streaming platform ke gift card pe aur minimum 1% se maximum 4% tk online shopping website jaise ki Flipkart aur Amazon ke gift card pe deti hai yani agar aap 10000 rs ka product kharidne Wale ho aur iss bot se 10000 ka gift card le lete ho to minimum 100 se 400 Tak save kar sakte ho aur agar aap ya aapka koi dost online se regular shopping karta hai to aap iss trick se bahut se paise kama sakte ho.

Ye bot fake to nahi hai na ?

Dosto hum aapko apne website pe koi yesi trick ya channel,bot aur website ke bare me nahi batate hai jise hamne try nahi Kiya ho ya wo hame fake lage yaha bhi bataye gaye sare channel aur bot hamne use Kiya hai aur ye genuine lagne ke baad hi aapko bata rahe hai isliye aapko iss baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai ye bot aur sare channel aur group 100% geniune hai.

Recharge demo.

1. Start pe click karke bot ko start kijiye
2. Aapke samne bahut options dikhega aapko Jo karna hai uss option pe click kare ( me recharge ka example deta hu)

3. Apna mobile number Dale


4. Apna sim operator type kare.

5. Recharge amount dale.


6. Aapka som prepaid hai ya postpaid select kare.


7. Ab aapke samne UPI I'd or scanner dono show hoga aap jaise chahe apne recharge ka amount pay kar skate hai. Uske baad ye bot aapke payment confirmation ke liye aapse aapka transaction ID ya screenshot send krne ko kahega aap dono me se koi b send kr sakte hai. Screenshot bhejne ke liye image ke arrow ko dhyan se dekhe r apna screenshot bheje aur translation I'd bhejne k liye type karke send kar de.

8. Ab sab complete ab 5 se 10 minutes wait kare aapka recharge complete ho jayega aur aapko apka cash back bhi send kar diya jayega.

Agar aap aur jankari lena chahte hai to aapko sari jankari bot me mil jayega commission kitna milega aur kaise kaha jaise sawalo ke jawab ke liye bot pe visit kare.

Important: agar aapko koi aur problem ho to aap Re4karo announcement group me join ho ke apni problem ka solution pa sakte hai aur bot ke new features ki update bhi aapko waha mil jayegi.

Aapko yeh post pasand aaya to apne dosto ke sath bhi share kare aur hame support kare.

Tuesday, September 26, 2023

September 26, 2023

 Iss app se free me ad banao aur paise kamao !

Dosto jaisa ki aapko pata hai hum har hafte aap ke liye ek yesi post late hai jaha aap apne phone se thode der kaam karke ek achhi khasi kamayi kar sakte hai. Usi raste pe chalte hue Aaj hum aap ke liye ek aur app laye hai jaha aap paise kama sakte hai aur agar aap bhi khud ka buisness karte hai to aap uske liye bhi free me ad bana sakte hai.

App ka naam kya hai ?



Dosto Aaj hum jis app ke bare me baat karne Wale hai uska naam hai Adbanao. Yeh app Google Play Store par bhi available hai.

Iss app ka kya kare ?



Dosto aap iss app pe kayi tarah ke ad bana sakte hai jaise ki poster, whatsapp ad, video ad, animation ad etc. Iske alawa aap apne product image ko daal ke bhi auto text to video ad bana sakte hai iske sath hi buisness card ( single paper, multi page, micro card) bana sakte hai. Ye sabhi ready to use features aap free me use kar sakte hai aur inpe aapko koi copyright bhi nahi aayega.

Isse paise kaise kamaye ?

Jaisa ki humne aapko iske sare features ke bare me bataya hai to aap ye sab chize khud ke buisness ko aage badhane ke liye kar sakte hai aur sathi kisi dusre ke business ke liye bhi karke usse paise charge kar sakte hai. Dosto aajkal buisness ka bahut bol Bala hai isliye buisness se jude kaam ka bhi demand jyada hai isliye agar aap ki buisness ke liye itna sab kuchh kar ke denge to aap mahine ke Aram se 15 se 20,000 kama sakte hai aur aapka kuchh kharcha bhi nahi hoga sath hi aap chahe to khud ke business ke liye bhi iss app ka use kar sakte hai jisse aapka business ka bhi growth hoga sath hi aap mahine ka 15 se 20,000 bacha bhi payenge.

Ek aur tarika iss app se kamane ka !



Agar aapko lagata hai ki yeh bhi shayad aap nahi kar sakte hai to koi baat nahi ek aur tarika hai jisse aap iss app se kama sakte hai jo hai refer karna. Aapko per refer pe 2rs milega par jab aapka refer dost Adbanao app ka subscription kharidega to aap 150 rs alag se kama sakte hai aur yesa nahi hai to aap iss app se related videos youtube se download kare aur khud ka ek YouTube channel khol ke uspe upload kar de description me apna refer link daal de isse bhi aap achhi kamayi kar sakte hai. Bhale shuruwat me aap jyada kama na paye par dhere dhere ye tarika bahut hi jyada kamayi karke dega.

Adbanao primium kya hai ?

Adbanao app aapko kafi kuchh free me deta hai par iski bhi ek limit hai isliye Jo log chahte hai ki wo bina kisi limit ke apne buisness ko aage badhaye wo Adbanao ka primium subscription le sakte hai. Aur agar aap na bhi le to aapko koi jyada dikkat nahi hogi ye Puri tarah aap aur aapke buisness par nirbhar karta hai. Primium subscription ki jankari ke liye aap neeche Wale image ko dhyan se dekh ke samjh sakte hai.


Dosto aap ko agar yeh post achha laga ho to hame comments me jarur bataye. Sath hi humare telegram channel ko join karle yaha aapko har tarah ke delas aur loot ki jankari milegi Cheapdeal4

Monday, September 18, 2023

September 18, 2023

50% off on Amazon prime membership

 Amazon prime membership le aadhe price me !

Dosto aapka swagat hai hamare ek aur naye post me Aaj hum ek yese website offer aapke liye lekar aaye hai jisse lagbhag har koi online shopping karta hai aur yeh website duniya ki no.1 shopping site hai sath hi iss site pe logo ka bharosa bhi bahut jyada hai ji ha hum Amazon site ke bare me baat kar rahe hai jaha aap aur hum sab online shopping karte hai aur ghar baithe saman mangate hai.

Amazon prime kya hai ?



Dosto jaisa ki aap jante hai ki hum Amazon site se lagbhag har saman order karte hai aur aur Kai bar yesa hota hai ki hame koi product jaldi chahiye hota hai par uski delevery date bahut late hoti hai aur jab bhi shopping karte hai to 500 rupees se Kam Wale product ke liye hame delevery charge Dena hota hai. Amazon prime membership aapke aur hamare isi problem ko dur karta hai Amazon prime membership me aapko same day delivery, one day delivery, two day delivery aur aapne Marzi anusar delevery date chunne ki azadi hoti hai aur sath hi aapko lagbhag har product par se delevery charge Dene ki jhanjhat dur ho jati hai. Amazon prime membership me aapko delevery aur delivery charges se chhutkara nahi balki sath hi aapko Amazon prime video aur prime music ka bhi subscription sath me hi milta hai. Aur ye sab aapko ek hi subscription ke bundle me mil jayega. Aur ye sab aapko sirf yearly 1499rs me mil jata hai jisme ab aap 50%  paise wapas paa sakte hai.

Prime membership ke liye click kare

Amazon prime video kya hai aur iske kya fayde hai ?

Amazon prime video ek ott platform hai jo jo Amazon prime membership ke sath aapko additional me milta hai jaha aap movies ( Hollywood, Bollywood, Kollywood) aur webseries hindi, Tamil, telgu jaise bhasha me dekh sakte hai sath hi Amazon prime video apne khud ke orginal content bhi Lata hai Jo sirf aapko Amazon prime video pe hi dekhne ko milegi. Agar aasan bhasha me kaha Jaye to aap apna entertainment Amazon prime video ke sath kar sakte hai jaha aapko har roj naye webseries aur movies dekhne ko mil jayege apni language me.

Amazon prime music kya hai aur iske kya fayde hai ?

Amazon prime music ek music streaming aur downloading app jaha jaha aap Spotify, ganaa app ke jaise gaane sun aur download kar sakte hai. Aur yaha aapko 100 million se jyada gaane sunne ke liye mil jayega jaha aapko Hindi,Tamil, Telugu, kannad jaise language me gaane sun sakte hai. Aur yeh bhi aapko Amazon prime membership ke sath bilkul free milega iske baad aapko dusre music streaming platform ke subscription nahi lene padenge.

750rs ke prime membership ke additional benefits kitna hai ?

Dosto jaisa ki hamne aapko bataya ki aapko Amazon prime membership ke sath Amazon prime video aur prime music ka additional benefits milta hai jiske liye aapko alag se koi paise nahi Dene padte iske wajah se aapko kisi aur ott platform jaise hoststar aur Netflix ke subscription nahi lene padenge jiske wajah se aapko saal ke 1500rs ka to Aram se fayda mil jayega sath hi aapko kisi music streaming platform ka bhi subscription nahi Lena padega jiske wajah se aap lagbhag 1000 rs isme bacha sakte hai yani aap saal ke 2500 rs apna bacha sakte hai Amazon prime membership ke wajah se aur shopping to aapko same day delivery ka bhi mil jayega.

1499 ka Amazon prime membership 50% me kaise milega?



Dosto jaisa ki humne aapko bataya ki aap Amazon prime membership kyu lena chahiye aur isse aapko kya fayda hoga aur kitna fayda hoga. To chaliye ab jante hai ki hum Amazon prime membership ka 1499 wala annual plan 750rs me kaise le. Dosto Amazon prime membership ka ek offer hai jise youth membership kaha jata hai jisme aapko Amazon prime membership 1499 ka annual ya 299 ka monthly plan lena hoga aur payment karna hoga uske baad aapko aapke Amazon wallet me 50% amount return mil jayega.

Kaise fayda le Amazon youth program ka ?



Iske liye kuch rule hai jisko aapko follow karna hoga jaise ki aapki age 18 - 24 hone chahiye aur aapke paas iska proof jaise college ki I'd card aur adhar card hona chahiye jaise hi aap prime lene jayenge aapko do option milega jisme ek normal plan hoga aur ek youth program hoga aap monthly ya yearly wala plan apne hisab se select kare aur youth program wala option se pay karr aapko aapke plan ke hisab se payment cut ho jayega aur uske baad aapko message aur gmail se ek link bheja jayega jaha aapko ja kar apna age verification karwana hoga uske liye aapke paas ek hafte ka time hoga uske baad wo link valid nahi rahega aur dariye mat ye Amazon official ke taraf se hi aapko message aayega. 

Agar 24 se jyada ya 18 se Kam ho to kya kare ?

Dosto agar aapka age iss criteria me nahi aa raha to aapko pura payment karke hi Amazon prime membership Lena hoga ya fir aap apne kisi dost ya chhote bade bhai behan ke naam par account open kar sakte hai.

Dosto agar aapko hamari ye post achchi lagi to comment jarur kare aur aap bhi chahte hai kam price me online shopping karna chahte hai to hamare telegram channel cheapdeal4u ko join kare yaha aapko sabhi online website ke product mil jayega jab uska price drop hota hai ya mrp error hoti hai uss time aap iss product ko ka price me kharid sakte hai. Join karane ke liye click kare

Wednesday, September 14, 2022

September 14, 2022

Aap karte ho crypto me invest to isse jarur pahe

 Crypto investment ke liye sabse trusted apps



Dosto hamare crypto currency ke post par aap logo ne bahut pyar Diya hai isliye Aaj hum aapke liye crypto me investment karne ke liye best apps konsi hai ye batane wale hai. Agar aap bhi crypto me investment karte hai ya karne wale hai to iss post ko pura padhe aur agar aap crypto currency ke bare me janna chahte hai to hamare purane post ko padh ke iske bare me jaan sakte hai.

Crypto investment ke liye best apps ka matalab?

Crypto investment ke liye best apps ka matlab hai wo apps jaha agar aap crypto me investment kare to server sahi se kaam kare taki agar market me inflation ho to aap kharid ya bech kar sake. Dusra uss app me jyada se jyada crypto currency ho taki aap bahut se coins me investment karke apna portfolio diversify kar sake. Tisra uss app me crypto graph achha ho jisse ki agar aap kisi coin ko track karna chahe to usse uss app me bade Aram se kar paye.

To konse apps hai crypto ke liye best ?

U to bahut se apps playstore me hai jaha aap crypto me investment kar sakte hai par inn apps me kuchh sahi se kaam nahi karte to kuchh to puri tarah se fraud hai aur jinn apps ke aap YouTube,tv ya social media me add dekhte hai wo aapse crypto buying aur selling par jyada charge karte hai. Isliye aap wese apps ko bhi use na kare . To inke alawa aur bachta kya hai? Yesa nahi hai ki jo ads dikhate hai unko agar aap install na kare to aapke paas ab koi option bacha hi na ho. Hum aapko Jin apps ke bare me bata rahe hai wo hai wazirx and binance. Ye do apps crypto investment ke liye sabse best apps hai.

Yehi do apps kyu kya koi aur app achha nahi hai?.

Nahi dosto yesi baat nahi hai. Crypto market bahut hi jyada bada hai aur usme investment karne ke liye bahut sare apps hai yesa nahi hai ki ye do apps hi sabse best hai aur koi apps kisi kaam ke nahi. Sare apps achhe ho skate hai par hamne abi tak jitne apps bhi use kiye hai usme ye dono apps hame jyada pasand aaye jaise ki coindcx ( isme buying aur selling charges high hai) , coinswitch cubber ( iss app me sabse jyada charges lagte hai aur sath hi isme bahut hi kam coins hai investment karne ke liye.)
Iss tarah Kai apps hamne dekha aur yeh jana ki binance aur wazirx hi hai jo purane aur trusted bhi hai sath hi kam charges leti hai aur yaha par aapko lagbhag sabhi coins mil jayega jiske karan aap apna portfolio diversify rakh sakte hai.

Disclaimer

Dosto hamne apne anubhav ke mutabik aapko ye apps suggest Kiya hai ho sakta hai kai log hamare opinion ko galat kahe aur isme koi burai bhi nahi hai. Aapko agar inn apps par trust nahi ya aap kahi aur trade karte hai to yeh puri tarah aapke uper hi nirbhar karta hai. Hamara kaam tha jankari Dena usko kare ya na kare yeh puri tarah aap par dipend karta hai. 

Saturday, September 10, 2022

September 10, 2022

Ab sab le skate hai credit card!

 Best credit card for college students.

Dosto hamesha ki tarah hum aa gaye hai aur aap ke liye aaj bhi kuchh khas post laye hai. Aaj kal har kisi ko apni life me paise ki jarurat pad hi jati hai chahe wo bada ho ya student par agar bade logo ko paise chahiye to uske liye bank hai jo unhe loan deti hai ya credit card hai jo unhe ek card issue karti hai jisme kuchh limit ammount hota hai jiska wo istemaal karte hai aur aur fir credit card ke bill generat hote hi usse wapas kar dete hai. Par agar hum students ki baat kare to unko inn dono me se kuchh bhi nahi mil sakta hai kyunki chahe loan ho ya credit card uske liye apki age kam se kam 18 aur apka credit score achha hona chahiye. Par students ke paas ye dono nahi hota kyuki jyadatar students 18 se kam ke hote hai aur baat kare credit score ki to wo bhi students ka nahi hota hai.

Credit score kya hai ?



to bank aapko loan degi nahi aur degi bhi to aapse high interest charge karegi kyunki bank ko lagega aapka credit score kharab hai isliye default karne ke chance badh jate hai matlab jyada risk. Isliye high intrest.

Bina credit score ke credit card kaise le ?

Credit score ya cibil score ek tarah ka score hai jo aapko bank deta hai jaba aap apni loan ke repayment time se karte hai. Credit score 0 se 900 tak ka hota hai. Jisme agar aapka score 750+ hai to aapko chinta ki jarurat nahi hai.Agar aapka koi credit score nahi hai aur aap credit card lena chahte hai to bank aapse jyada security fees lega aur badle me aapko credit card de dega par usme aapko jyada limit nahi milegi par iss tarike se aap apna credit score bana sakte hai. Par agar aapka agr 18 se kam hai to iss case me aapko credit card milne ke chances na ke barabar hai. Isliye Aaj hum aapke liye kuchh yese apps lekar aaye hai jo students ko ek credit card deti hai aur sath hi kuchh amount ki limit bhi iska istemaal aap jarurat kr time kar sakte hai aur baad me time se repayment kar ke apna credit score bhi built kar sakte hai.


Kahani likhe aur paise kamaye

1. Slice card 



Slice card ek app hai jo aapko ek credit card deti hai kuchh limit amount ke sath. Agar aap student bhi hai to bhi Slice card app me apna account bana kar credit card use kar sakte hai. Isme aapko ek physical card bhi milega jo bilkul free hai aur isme koi hidden charges bhi aapko nahi dena padega .

Slice card ki kuchh features

1. Isme account banana aur kyc karna easy hai.
2. Chahe aap student ho ya work karte ho aap iske liye apply kar sakte hai 
3. Isme aapko minimum 4000 se maximum 2,00,000 Tak limit mil sakta hai 
4. Agar aapke paas pure paise nahi hai to aap 3 mahino tak apne amount ko split kar sakte hai aur usse repay kar sakte hai ( agar aapka limit 9000 hai aur aapne sare kharcha kar diye hai to aap 3 mahino tak 3000 de kar apna repayment kar sakte hai iss process me aapko koi extra charges pay nahi karni padti.)
5. Aapko aapke har kharcha par monies milte hai jiska 1% aap cash me redeem kar sakte hai.
6. Aapko monthly ya yearly koi maintenance charge nahi dena padega.
7. Agar aapka koi credit score nahi hai to isko madad se aap credit score bana sakte hai.
9. Iss app ko apne dosto ko refer karke per refer kama sakte hai.
10. Iss card se aapko online shopping par bhi kai bar discount mil jayega.

Slice card ke kuchh disadvantages

1. Yeh aap aapko Kai bank se kuchh kuch paise nikal kar deti hai iska matlab agar aap kisi wajah se paise time se nahi bhar paye to aapka credit score aur bhi kharab ho Sakta hai.
2. Baki others credit card ke mukable iska reward kam hai.
3. Agar aap time se repayment nahi karte to uss case me aapke amount ka 40% tak penalty charge lag sakta hai.

Slice card hi kyu le ?

Kai logo ke man me yeh sawal aa sakta hai ki market me jab bahut se credit card available hai to hum yehi wala kyu le ? Aapka sochna bhi sahi hai lekin yeh card hum khaskar students ke liye bata rahe hai market me aur koi credit card nahi hai jo iske aas pass bhi ho aur user friendly ho. Iss app se lagbhag koi bhi credit card pa sakta hai. Aur ham aapko isse lene ko nahi kah rahe humne bas iss card ki jankari di hai agar aap intrested hai to aap ise try kar sakte hai.