Jitne chaho utne videos store kare ab khatam nahi hogi storage! Lifetime unlimited storage free paye ! - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Sunday, May 30, 2021

Jitne chaho utne videos store kare ab khatam nahi hogi storage! Lifetime unlimited storage free paye !

Apne unlimited photo, video jaise file ko upload kare bina kisi tension ke !



Dosto kaise hai aap ? . Ummed hai ki aap achhe honge pichle teen dino tak lagatar online earning se related post likhane ke baad aaj hum online earning ke concept se thoda hatkar ek post lekar aaye hai hame ummeed hai ki aap sab log iss post ko bhi bahut pasand karenge aur apne dosto ke sath share karke hamara utsaah badhayenge. To dosto aaj hum aapko cloud storage apps ke bare me batane ja rahe hai jo aapke liye surakshit ke sath sath free me dher sara storage bhi degi. Ab aapko lag rha hoga ki iss post me kya khaas ho sakta hai jo isko hum padhe. Google drive to hamari storage ke liye hai hi. Par dosto Google drive me aapko sirf 15GB hi storage milta hai halaki aap aur gmail kholkat 15 GB aur le sakte hai. Par isme sabse badi problem yehi hai ki aapko har gmail ka password yaad rakhna padega aur sabhi gmail manage karne honge. Par hum jin apos ke bare me batane wale hai wo aapko Google drive se bhi jyada storage degi wo bhi security ke sath free me.
Refer karke paise kamane ke liye

** Kya hai cloud storage ?**

Aap me se bahut se logo ko cloud storage ke bare me pata hoga par jinko nahi pata hai unko bata de ki cloud storage ek tarah ka dorahe hi hota hai jaha aap apne files ko kisi aur server par store karke rakhte ho kyonki aapke paas storage nahi hota ya kisi wajah se aap usse tab rakhna nahi chahate. Aur aap uss dusre server se jab chahe tab apna file le sakte hai fir download karke yehi cloud storage kahlata hai.

** Cloud storage apps kyun use kare?**

 Cloud storage use karne ka sabka apna apna ek reason hota hai kuchh log apne kuchh files ko secure aur kabi na delete ho isliye cloud storage me upload karte hai. To kuchh log apni yaado ki videos ya photos ko rakhte hai aur kuchh legends movie ya series download karke storage na hone ki wajah se apne kuchh movies ko cloud storage me upload karte hai. Cloud storage aapki sabhi tarah ke files ko apne paas store rakhta hai.

Online earning se paise kamaye

1. Degoo storage app

 


  Degoo ek cloud storage based website aur app hai. Jisme aap apne photos aur videos jaisi files ko secure rakh sakte hai wo    bhi bilkul free me ye app aapko 100GB ka free cloud storage deta hai wo bhi aapke ek gmail account par hi. Agar aapko lagta hai ki ye safe nahi hoga to hum aapko bata de ki aapko darne ki jarurat nahi hai yeh app puri tarah se safe hai. Yaha aapke upload kiya gaya audio,video ya photo puri tarah se surakshit rahegi.

*Account kaise open kare*

1. Degoo me aap do tarikon se account open kar sakte hai aap agar iska app download karna chahte hai to app download karke ya iske website se bhi account khol sakte hai.

2. Iske website ya app me jane ke baad waha aapko singup ka option choose karna hoga.

3. Jaise hi aap singup par click karenge aapke samne teen options aayenge pahle me aapko sirf apna gmail choose karne hai aur account ban jayega. Dusre me aapko Facebook se account opne karne ka option aayega. Aur teesre me aapko apna gmail manually type karke aur password bana ke account open kar sakte hai.


4. Aap apne anusar account bana le aur aapka dashboard open ho jayega.


5. Ab aap jis bhi file ko upload karna chahate hai. Plus ke icon par click karke upload kar sakte hai.


*Kya hai isme khaas *

 


Jaisa ki hamne bataya aapko isme 100GB ka free cloud storage milta hai wo bhi free me sath me aapko aapki files ki security ka ka bhi khyal rakhta hai.agar aap ise bhi badhana chahate hai to aap wo bhi kar sakte hai iske liye aapko kam price hi dena padega. Inn sabhi ke alawa isme login aur account banane ka process bhi asan hai iske alawa isme aap apne file ko jaldi upload aur download bhi kar sakte hai.

2. Telegram

 


Dosto aap me se kai hamare dost ye soch rahe honge ki telegram aur cloud storage apps ka kya connection? Wo to ek chating karne wala platform hai jaha log chats kar sakte hai. Par aapko yeh nahi pata ki telegram sirf chats ke liye nahi balki apne anokhe features ke liye bhi mashoor hai usme se hi ek feature hai cloud storage ka jaha aap unlimited filed ko store karke rakh sakte hai aur uske liye aapko koi alag se charge dene ki jarurat nahi hai kyonki telegram ne iss feature ko bhi logo ke liye free me available kara diya hai.

• Telegram me account kaise banaye ?*

1. Telegram me account banana bahut hi asan hai dosto aapko telegram aap playstore se download karne hai

2. Fir aapko usme apna number dalna hoga.


3. Aapke number par ek otp aayega usko enter kare aur continue kare.


4. Ab apna naam dale jo aap telegram me show karwana chahte hai aur continue kar de.

5. Aapka account ab ban chuka hai file ko upload karne ke liye search box me saved messages type kare aur aapko ek saved messages ka option dekhega uspar click kare.


6. Ab jis bhi file ko bhejna chahate hai usse yaha upload kare.


7. Ab upload hone ke baad aap iss file ko telegram me kisi ko bhi share kar sakte hai iska link banakar bhi kisi ko bhi share kar sakte hai.


8. Ab apne file ko dekhne ke liye aapko same kaam karna hoga apne Search box me saved messages type kare aur usme apne upload kiye hue file ko dekhe ya kabi bhi unko download kare.

• Isme kya hai khaas*.


 Isme yeh khaas baat hai ki aap isme unlimited file upload kar sakte hai free me. Unn files ko kahi bhi share kar sakte hai asani se. Agar aap telegram movie channel bana rahe ho to aapko yeh feature bahut hi jyada bhane wala hai. Aap apne movie files ko yaha upload karke yehi se uska link share kar sakte ho.

 Dosto agar aapko ye post achha laga hai to comments me bataye aur agla kis topic par aap jankari chahate hai ye bhi hame bataye. Offers aur online earning ke liye hamare dusre post ko padhe ya telegram group join kare.

No comments:

Post a Comment