Short video se kamane ki puri jankari aur isse jude sawalo ka jawab - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Wednesday, May 26, 2021

Short video se kamane ki puri jankari aur isse jude sawalo ka jawab

 Zero subscriber,new channel, fir bhi hogi kamayi hazaro me !


Dosto aapko aaj fir hamare naye post me swagat hai. Aaj hum fir hazir hai ek nayi earnings se related idea ke sath. Aap agar bahte hai ki aapko isi tarah earning se related genuine post milte rahe to hamare telegram group ko bhi join kar sakte hai jaha hum aapko technology aur earning se related jankari dete rahate hai. Aur aapko aur kis topic par post chahiye ye bhi suggest kar sakte hai hum oose topic par ek puri jankari wala post likh kar aapko update kar denge. To Dosto aaj hum batane ja rahe hai ki kaise aap bina subscriber ke aur bina 4000 ghante ke watch time ke bhi apne YouTube ke channel se kama sakte hai. Aapko jankar yeh tajub ho raha hoga ki youtube ne kab se apni policy me badlaw kiya hai aur kaise hum bina kuchh requirement ke bhi ek new channel se kamai kar sakte hai. To fikar mat kijiye dosto me aapke inhi sabhi sawalo ka jawab dene ja raha hu to post ko pura jarur padhiyega aur achha lage to comments me batayega.

1. Kya sach me bina kisi requirement ke YouTube se kama sakte hai ?

To iska jawab hai, han ! Aap bina kisi requirement ke YouTube se kama sakte hai bina kisi requirement ke apne new channel se bhi.

2. Kaise youtube naye tarike se kamaye ?

Dosto YouTube ke iss new trick se kamane ke liye aapko YouTube shorts pe video banana hoga jo 1 minute tak ki hoti hai. Aur uss short videos ke badle aapko kuchh paise milenge.

3. Kaise videos banaye YouTube shorts par ?

YouTube shorts par aap generally har tarah ki videos bana sakte ho jo youtube ke guidelines ke khilaf na ho jaise ki aap cocking tips, motivation video, education,dance etc jaise videos ko daal sakte ho. Aap yesa koi bhi coment daal sakte ho jiske bare me aapko knowledge ho aur kam se kam time me aap oose samjha sakte ho.

4. YouTube shorts videos banana chahiye ya nahi ?

Dosto agar iska jawab ek line me bola jaye to ha aapko YouTube shorts jarur banana chahiye. Iske kuch fayde bhi hai jaise ki aap sirf 1 minute tak ka video banayenge to usko edit karna aapke liye bahut mushkil nahi hoga aur jaha aap din me ek videos banaye ho wahi shorts me 1 minute ke das videos upload kar sakte ho. Aur aksar dekha gya hai ki bade bade video se jyada short videos ko log dekhna pasand karte hai isse aapke videos ki reach badhne ki sambhavana badh jati hai. 

5. YouTube kyu short videos ke paise de raha hai ?

Iss sawal ka seedha aur saaf jawab hai paisa. Dosto hum jante hai ki har companies jyada se jyada paisa chhapna chahti hai aur isi wajah se wo nayi nayi scheme lekar aati hai. Tiktok ke popularity ke baad YouTube bhi short video ko promote karme laga hai aur wo jaan gaya hai ki isse uska bahut fayda hai kyonki jo log videos dekhte hai wo youtube me dekh lenge aur jo log status ya short video dekhna chahte hai wo bhi YouTube par hi dekh lenge. Iss tarah unhe kahi jana nahi padega aur Google apna base aur strong bana lega. Isi chalte Google ne ye yelana kiya hai ki ab youtube short video banane wale ko bhi earning hogi. Iske liye usne 100 million alag se kharch kiya hai. 

6. Kab tak youtube deta rahega short videos ke paise ?

Jaisa ki humne aapko bataya hai ki youtube 100 million sirf short videos ke liye hi rakha hai to yese me ye batana mushkil hai ki ye kab tak paisa dega par iss baat ki puri ummeed hai ki iske baad bhi YouTube nahi rukega wo apne monitization ko short videos ke liye bhi available kar sakta hai jiski sambhavana jyada hai. Isliye aap sirf ispat kaam kijiye.

7. YouTube mahine ka kitna paisa dega ?

Youtube ne ye abhi saaf nahi kiya hai ki wo monthly short videos banane wale ko kitne paise dega par yeh andaza lagaya ja raha hai ki aapko kam se kam bhi to 20,000 mil sakte hai.

8. Agar short video se kamai na hui to kya kare ?

Dosto jaisa ki humne aapko bata diya hai ki short videos jaldi logo tak failti hai agar aap kisi wajah se YouTube shorts se paise nahi kama pa rahe to aap affiliate marketing se paisa kama sakte hai jaha aapko sirf product ka review karna hai aur uska affiliate link description me daal dena hai uske baad har purchase par aapko profit milega aur aap yese bhi kama sakte ho.

9. Short video upload karte waqt inn baton ka dhyan rakhe ?

Wese to short video upload karna koi bada jhanjhat nahi dega fir bhi aapko bata de ki apne short video ko upload karte time usme #short jarur dale taki youtube ke algorithm ko pata chale ki aapka yeh video short category me aata hai. Aur usse related kuchh description jarur add kare.

10. Ek sabse bada sawal ya confusion ?

Dosto itna sab janne ke baad aapke man me abhi bhi ek sawal aa raha hoga ki agar short videos me hum 4000 ghante watch time aur 1000 subscriber pure karne ke baad YouTube channel ko monitize kar sakte hai ya nahi. Dosto iska jawab hai nahi aap bhale isse apna reach badha sakte hai par isko aap monitization ke liye use nahi kar sakte hai. YouTube aapki short video ki jankari alag aur channel ki jankari alag seperate rakhega. Par aapko iss baat se hatash nahi hona chahiye kyunki aapka agar reach badh gaya to  aapke kamane ka jariya automatic badh jayega.

Dosto agar aapko Kisi Prakar ki jankari update turant Janna Hain To aap Hamari Telegram group ko join kar sakte hain agar aap Kisi bhi topic par detail post chahte Hain To Hamen Hamare Telegram group ya comment Mein bataye. Ham aapke liye uski Puri Jankari per Ek post banayenge.

No comments:

Post a Comment