Textnow: ek application dega hazaro free numbers !
Dosto aaj fir hum aapke liye ek badhiya application lekar aa gaye hai jo aapke bade kaam aa sakti hai. Aur hum ye koshish karenge ki iss post ke baad aapko koi dusri post padhne ki jarurat na pade isi post me aapke sare sawalo ke jawab mil jaye.
Textnow,kya hai ?
Aap me se bahut se log yese honge jo bahut se numbers rakhna chahate honge par ye mumkin nahi kyonki ek phone me aap jyada se jyada 2 sim use kar sakte hai kuchh button phones honge jisme chaar bhi kar sakte hai. Par usse jyada aap use nahi kar sakte hai sath hi ek proof ka jyada istemal bhi karna khatarnak ho sakta hai. Yese me kya kare? Ye sawal aata hoga aapke man me kya koi app yesa nahi hai jo hame numbers de free me jitna chahe utna. To ji ha aap sahi soch rahe hai yesi app hai jo aapko ek se jyada number deti hai.Aur wo application hai Textnow. Textnow (VOIP) yani voice over internet protocal hai. Jisse aap jitane chahe utne american aur vandan numbers free me le sakte hai.
Textnow me account banaye
Textnow application me account banna bahut hi aasan hai
1.aapko playstore me jakar textnow search karna hai aur usse download karna hai.(aap hamare link se bhi download kar sakte hai.)
2. Install karne ke baad app open kare. Aake samne yesa interface open hoga ab singup par click kare.
3. Ab aapke samne 3 option open honge 1.google se singup ka 2.facebook se singup ka 3. Email khud se type karke account banane ka.
4. Google se aur email type karne se aapko password dalna hoga usse yaad rakhe ya save kar le facebook se direct open ho jayega
5. Isake baad ye app aapse permission mangega aap setup par click karke sare permission allow kar de.
6. Ab aapke samne do option aayega first me
Use my location aur dusre me don't use my location ka aap inmen se koi bhi choose kar sakte hai
7. Ab aapke samne bahut se numbers show honge aap inmen se koi bhi number use kar sakte hai. Isme liye aapko uss number par click karke continue kar dena hai.
Isake baad aapka app use ke liye puri tarah se taiyar hai. Ab aap kisi ko bhi call kar sakte hai aur call receive bhi kar sakte hai free me.bus aapko phone me internet connection hona chahiye.
Bonus Tips:
1. Aap iss number se whatsapp bhi bana sakte hai. Uske liye aapko country code me +1 set karna hai
aur apne iss app wale number ko paste karna h iske baad aapko call me wale option ko click karna hai. Aapko whatsapp ka otp call ke jariye iss app me aayega aur aap whatsapp open kar sakte hai.
2. Agar aapko iss app me kabi open karte hue number show na kare to aap use my location ka option use kare aapko numbers show hone lagenge.
3. Aap isse unlimited numbers fake email se bhi bana sakte hai hai kyonki iss app me email address par koi verification nahi mangta hai.
Example:
Yah application sir gyan aur jankari ke liye banai gayi hai iska galat istemal na kare ye khatarnak bhi ho skta hai iska sahi istemal kare aur duro ko bhi post share karke gyan bate.
No comments:
Post a Comment