Telegram se ho sakte hai malamaal !! - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Tuesday, February 2, 2021

Telegram se ho sakte hai malamaal !!

 Telegram se paise kamane ke 4 asan tarike !


Dosto hamne aapko apne telegram aur whatsapp wale post me bataya tha ki telegram aur social media se kitna alag aur jyada useful hai. Aur iske kya fayde hai. Agar aap bhi telegram ke bare me jyada jankari chahate hai to hamare uss post ko jarur padhe. Aur iss post me hum aapko telegram se paise kamane ke bare me batane ja rahe hai. Wese to telegram se paise kamane ke bahut se tarike hai par hum aapko wahi tarika batane wale hai jo asan hai.


Tarika 1

Agar aap Telegram use karte hai to aapko pata hoga ki Telegram logo ke beech itna khaas isliye hai kyunki hum usme koi bhi movie series ya files ko bahut aasani se download kar sakte hai. Lekin kya aapne kabi yeh socha hai ki isse files upload karne walo ko kya fayda hota hai ?. Wo apni files ko channel banakr usme share karte hai aur jaise jaise unke followers badhte hai wo promotion karna shuru kar dete hai chahe wo promotion kisi channel ya group ka ho ya fir kisi product ka aur iss tarah wo paise kamate hai. Aapko bhi kuchh yesa hi karna hai aap bhi apna channel create kare aur usme subscribers badhaye uske baad aap bhi kisi chhote channel ka promotion karke paise kama sakte hai.

Tarika 2

Aap me se kai yese log honge jo iss process ko nahi karna chahte honge kyunki isme bahut time lag sakta hai. 

Toh aap ek channel create karke usme kisi dusre movie website ke download link ko laga kar earnings kar sakte hai. Iske liye aapko ek linkshortner website ki jarurat padegi agar aapko nahi pata ki konsa link shortener aapke liye sahi aur jyada earning dene wali hogi toh aap hamare dusre post ko padh sakte hai jisme ki hamne bataya hai ki konsa linkshortner website achha hai aur kitna aap usse kama sakte hai.

Jaise hi aap linkshortner me apna account bana lete hai uske baad kisi bhi movie website ka download link ya telegram me hi upload ki hui movie ka link ko short karke usse apne channel par aakarshit dhang se upload kare jaise hi koi uss link par click karega usse ek page dikhega aur uss page ke task ko pura karne ke baad wo aapke link par ja kar files ko download kar lega.

Tarika 3

Aap sabhi ko pata hoga ki Telegram jab aap movies ya file share se related channel banate hai to aapka channel kabi bhi band ho sakta hai aur agar aap chahte hai ki koi aur tarika ho jisme risk na ho toh aap products reviews aur affiliate link lagakar unn product ko sell karwa sakte hai aur paise bhi kama sakte hai isme koi risk bhi nahi hai. Aapko bas Amazon ka affiliate account banana hoga aur product ko chunkar uske link ko share karna hoga jaise hi koi aapke link par click karke uss product ko kharidega aapko uspar commission milega agar aapko affiliate account banana nahi aata to aapp cashkaro ko join kar sakte hai.

Waha aapko Amazon, flipkart, ebay,mintra jaise site ka affiliate program milega aap jis product ko bachana chahte hai uss product ko chunkar uske link ko apne channel par share kare aapko aapka commission cashkaro me mil jayega aur usse aap bank me transfer kar sakte hai.


Tarika 4

Inn sab tarko me sabse jyada paise kamane wali tarkib website banakar usme adsense approval lekar apne post ke link ko share karke hai. Agar aap free me website banana chahte hai to blogger me bana sakte hai agar aapko website nahi banane aata toh aap hame contact kar sakte hai hum aapko kam daam me aapke liye achhi website bana kar denge. Hame aap telegram channel se contact kar sakte hai jiska link h https://t.me/techworld79
Website banane se aap lifetime kama sakte hai aur sath hi sath aapki reach bhi bahut badhegi ya fir aap website aur Telegram channel promotion dono se ghar baithe achhi kamai kar sakte hai.
Agar aapko hamara ye post achha lagata hai to aap hame follow kare aur apne dosto ko share karen. Agar aapka koi sawal hai to hame comments me bataye

No comments:

Post a Comment