Chaar technology mith aur facts - technosy5

technosy5

Tech updates,new launches, mobile phone specifications,pro-cons, review,new existing offers, online earning tricks in hindi

Header Ads Widget

LightBlog

Breaking

Join us fast

Monday, February 8, 2021

Chaar technology mith aur facts

 Duniya ke 4 majedaar technology facts jo hai hum sab ke liye faydemand !


Dosto hum har baar aapke liye technology se jude articals late hai par aaj hum aapke liye technology ke facts ke bare me batane wale hai jo aapke liye useful ho sakti hai aur ye sab aap bhi istemal karke dekh sakte hai.

Kisi bhi battery ke life ko badhaye !

Ha dosto ye bilkul sach aur scientific tarika hai jisse ki aap apne battery ke life time ko badha sakte hai. Uske liye aapko battery ko fridge me rakhna hoga. Ye aapko thoda ajeeb lag sakta hai dosto par ye sach hai iske peeche ka scientific funda ye hai ki battery jab chalti hai to chemical reaction hota hai par agar temprature kam ho jaye toh chemical reaction ruk jati hai r battery ke life time badh jati hai. Agar aap bhi iss trick ko use karna chahte hai to jarur karke dekhe aur hame comments me bataye ki kya ye tarika aapke kaam aaya ya nahi ?

Project banana hai to ye karo 


Aap sabi kahi na kabi apna school ya collage ka project pura karne ke liye Google ka istemal kiye honge aur uske article ko pura ka pura apne hisab se likh liye honge par kya aapko pata hai ki aap yese kaam ke liye Google ka scholar use kar sakte hai ho aapko aasani se aapke topics par best article ko dikhayega aur ye bahut aasan hai to agli baar apne project ko jaldi pura karna hai to google scholar ka istemal jarur kare.

Agli baar Flight ticket lene se pahle ye jarur kare.

Agar aap kahi bahar jate hai to aapne notice kiya hoga ki jis website se aap ticket lete ho to uska price badhte rahta hai yesa isliye hota hai Kyunki aapke baar baar visit karne se system ye pata kar leta hai ki aapke liye wo ticket bahut important hai isliye wo aapko uss ticket ka price badhakar dikhata hai isliye agli baar yese website me jane se pahle apne browser ka incognito mode onn karle jisse uss website par apka koi coockies ya data nahi aayega iske wajah se aapko uss ticket ka asli price dikhega aur aap book kar sakte hai.

Kya jyada charge karne se battery kharab ho jati hai ?

Jaisa ki sab log kahte hai ki jyada charge karne se phone ka battery kharab ho jata hai ya phone blust ho jata hai. Toh isme kitni sachhai hai? Isme koi sachhai nahi hai yesa bhale pahle ke phones me hota tha par aajkal ke batteries lithium ion battery hote hai jo rechargeable hote hai isliye koi blust ya battery kharab hone wali samasya nahi hoti hai. Ha par ye sach hai ki phone ko charge lagakar chalane se uska lifetime kam ho jata hai isliye phone company charger cable ko chhota deti hai taki brand ka naam kharab na ho.
Agar aapko hamara ye post achha laga hai to aap hame comments me bataye aur follow kare apane dosto ko bhi share kare aur janne ke liye hamare dusre post ko padhe.

No comments:

Post a Comment