Android ke 5 yese khatarnak settings jo aapke phone ke liye hai jaruri !
Dosto aaj kal har koi android phone ka istemal karta hai. Aur har koi chahata hai ki uska phone fast, smooth aur jyada din tak chale. Aaj hum aapko android ke yese paanch settings ke bare me batane wale hai jo aapke liye aur aapke phone ke liye achha hai. Isme se kuch settings optional hai to aap chahe to use kar sakte hai ya fir nhi.
1. Opt out of ads personalization
Dosto aap jante hai ki jab bhi hum Google me kuch search karte hai to google hame usse related ads provide karta hai. Wese to ye Google ka kaam h isliye wo yesa karta hai. Lekin agr aap chahte hai ki Google yesa na kare to aapko apne settings me jakar Google ke option me jana hai waha aapko ads ka ek option dikhega opt out of ads personalization iss option ko on kar lena hai fir aapko Google ke ads to aayenge lekin jo aap search karte hai usse related ads aapko Google nahi dikhayega.
2. Google Play instant
Dosto pahle agar aapko koi app ya game kaisa hai dekhna hota tha to aapko uss app ya game ko install karna padta tha tab jakar aap uss app ko use kar pate the aur decided karte the ki oose rakhna ya delete karna hai. Lekin ab chahe to oos app ya game ko bina install kiye try kar sakte hai aur decide kar sakte hai ki wah app ya game download kare ya nhi. Iske liye aapko settings me jakar Google option par click karna hoga fir account service par click karke google play instant par click karna hai waha aapko upgrade web option milega agar wo on nahi hai to use on kar le fir aap app ya game ko bina install kiye try kar sakte hai aur oose install kare ya nhi decide kar sakte hai.
3. Google Play protection
Aap aur ham na jane kitne apps ko play store ya third party websites se download karte hai lekin hame yeh dar jarur rahta hai ki jis app ko humne install kiya hai. Wo safe hai ya nahi. Agar aapko bhi ye dar hai to aap apne Play Store ko open kare waha aapko Google Play protection option milega waha click kijiye wo aapke ko scan karega aur aapko batayega ki jo app aapne install kiya hai wo safe hai ya nhi.
4. Find my phone
Jab bhi ham naya phone kharidte hai to hame uss phone ke kho jane ka dar hota hai. Isliye aap apne phone me find my phone option ko enable kar le iss option ko on karne ke baad aap jab chahe apne phone ko dhund sakte hai aur sath hi aap apne phone ko ring bhi kara sakte hai. Iss option ko on karne ke liye aapko pahle settings me jana hoga aur find my phone ya find my device option ko search karna hoga fir oose on kar lena hai ab aap jab chahe apne Google account se apne khoye hue phone ko dhund sakte hai.
5. Developer option
Dosto iss option ke bare me aap me se bahut se logo ko pata hoga lekin agar aapko nahi pata to aap iss settings ko on karne ke liye apne phone ke settings me jakar about phone ke section me build number par 7 bar click karke iss option ko enable kar sakte hai.
Iss option ko on karne ke baad aap apne phone ko aur bhi smooth fast aur extordanary bana sakte hai, Agr aapko iske bare me aur bhi jankari chahiye to hame comments me bata sakte hai. Hum uske bare me bhi aapko detail me batayenge.
Dosto ummed hai ki aapko hamara ye post acchha laga hai to hame follow kare taki aap aur bhi technology se related jankari pa sakte hai. Aur aapko yeh post achha laga to comment me hame jarur bataye.
No comments:
Post a Comment